lafzon ke sahra mein kya mani ke sarab dikhana bhi
lafzoñ ke sahrā meñ kyā ma.anī ke sarāb dikhānā bhī
koī suḳhan sahābī koī naġhma naḳhlistāna bhī
ik muddat se hosh-o-ḳhabar kī ḳhāmoshī raa.ij hai yahāñ
kaash dayār-e-asr meñ gūñje koī sadā mastāna bhī
nape-tule āhañg pe kab tak sambhal sambhal kar raqs kareñ
koī dhun dīvānī koī harakat majnūnānā bhī
shahr se bāhar kohsāroñ ke biich ye Thahrā Thahrā din
kitnā apnā sā lagtā hai aaj dil-e-begāna bhī
ek tilismī raah fasīl-e-tan se navāh-e-jāñ tak hai
jis kī khoj meñ kho jaao to mumkin hai pā jaanā bhī
āgāhī ma.akūs safar hai dānish-gāh ke raste kā
jis kā har jānā-pahchānā manzar hai an-jānā bhī
bol vahī haiñ sur bhī vahī mizrāb kī jumbish badle to
yās-o-alam ke tāroñ meñ muzmar hai ek tarāna bhī
hāsil aur lā-hāsil par ab vaise bhī kiyā ġhaur kareñ
aur chhalakne vaalā ho jab sāñsoñ kā paimāna bhī
kitnī aag kashākash kitnī kitnā tahammul hai darkār
'sāz' koī āsān nahīñ hai lafzoñ ko pighlānā bhī
lafzon ke sahra mein kya mani ke sarab dikhana bhi
koi suKHan sahabi koi naghma naKHlistana bhi
ek muddat se hosh-o-KHabar ki KHamoshi raij hai yahan
kash dayar-e-asr mein gunje koi sada mastana bhi
nape-tule aahang pe kab tak sambhal sambhal kar raqs karen
koi dhun diwani koi harakat majnunana bhi
shahr se bahar kohsaron ke bich ye Thahra Thahra din
kitna apna sa lagta hai aaj dil-e-begana bhi
ek tilismi rah fasil-e-tan se nawah-e-jaan tak hai
jis ki khoj mein kho jao to mumkin hai pa jaana bhi
aagahi makus safar hai danish-gah ke raste ka
jis ka har jaana-pahchana manzar hai an-jaana bhi
bol wahi hain sur bhi wahi mizrab ki jumbish badle to
yas-o-alam ke taron mein muzmar hai ek tarana bhi
hasil aur la-hasil par ab waise bhi kiya ghaur karen
aur chhalakne wala ho jab sanson ka paimana bhi
kitni aag kashakash kitni kitna tahammul hai darkar
'saz' koi aasan nahin hai lafzon ko pighlana bhi
- Book : Sargoshiyan Zamanoan ki (Pg. 113)
- Author : Abdul Ahad Saaz
- Publication : Adshot Publication (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.