lafzon ke siyah pairahan mein lipTi hui kuchh tanwiren hain
lafzon ke siyah pairahan mein lipTi hui kuchh tanwiren hain
Makhmoor Saeedi
MORE BYMakhmoor Saeedi
lafzoñ ke siyah pairāhan meñ lipTī huī kuchh tanvīreñ haiñ
ai dīda-varo pahchāno to kis haath kī ye tahrīreñ haiñ
jaatī huī rut kab ruktī hai ai dil ye 'abas tadbīreñ haiñ
jo qaid havāoñ ko kar leñ kyā aisī bhī kuchh zanjīreñ haiñ
naġhma vo kis ne chheḌā hai bichhḌe hue ġham sab aan mile
āvāz kī lahroñ par larzāñ sau mohr-ba-lab tasvīreñ haiñ
āvāra havā ke jhoñkoñ par aksar ye gumāñ guzrā jaise
ye ham se pareshāñ-hāloñ kī be-samt-o-jehat taqdīreñ haiñ
is shahr meñ le kar aa.e haiñ ham shabnam-o-gul kī sauġhāteñ
āñkhoñ meñ jahāñ angāre haiñ hāthoñ meñ jahāñ shamshīreñ haiñ
kuchh ḳhvāb ujāloñ ke ham ne dekhe the magar tā-hadd-e-nazar
jo zulmat ban kar phail ga.iiñ kin ḳhvāboñ kī ta.abīreñ haiñ
kyuuñ aaj kī jānī-pahchānī shakloñ se nazar mānūs nahīñ
āñkhoñ meñ jo phirtī rahtī haiñ kis daur kī ye tasvīreñ haiñ
ham apnī zaat ke zindāñ se bāhar jo nikal aa.e bhī to kyā
qadmoñ se jo lipTī paḌtī haiñ rāheñ ye nahīñ zanjīreñ haiñ
lafzon ke siyah pairahan mein lipTi hui kuchh tanwiren hain
ai dida-waro pahchano to kis hath ki ye tahriren hain
jati hui rut kab rukti hai ai dil ye 'abas tadbiren hain
jo qaid hawaon ko kar len kya aisi bhi kuchh zanjiren hain
naghma wo kis ne chheDa hai bichhDe hue gham sab aan mile
aawaz ki lahron par larzan sau mohr-ba-lab taswiren hain
aawara hawa ke jhonkon par aksar ye guman guzra jaise
ye hum se pareshan-haalon ki be-samt-o-jehat taqdiren hain
is shahr mein le kar aae hain hum shabnam-o-gul ki saughaten
aankhon mein jahan angare hain hathon mein jahan shamshiren hain
kuchh KHwab ujalon ke hum ne dekhe the magar ta-hadd-e-nazar
jo zulmat ban kar phail gain kin KHwabon ki tabiren hain
kyun aaj ki jaani-pahchani shaklon se nazar manus nahin
aankhon mein jo phirti rahti hain kis daur ki ye taswiren hain
hum apni zat ke zindan se bahar jo nikal aae bhi to kya
qadmon se jo lipTi paDti hain rahen ye nahin zanjiren hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.