lafzon ki sanglaKH silon mein samo diya
lafzoñ kī sañglāḳh siloñ meñ samo diyā
yāroñ ne fan ke phuul ko patthar meñ bo diyā
merī haqīqatoñ pe na tū hañs ki tujh ko bhī
jiddat ke shauq ne sar-e-sāhil Dubo diyā
Dastī hai ab bhī dil ko kisī kī ThiThaktī chaap
ik aabjū pe jaltā hai jab shaam ko diyā
kaisā ḳhayāl hai ye kahāñ kī hai tarz-e-fikr
aayā to vo lajā gayā bichhḌā to ro diyā
TuuTī jo gir ke jhiil ke darpan pe ik kiran
mauj-e-sabā ne ruuh meñ kāñTā chubho diyā
kal shab murī kī maal pe linTāT se pare
bārish ne us kā chāñd-sā paikar bhigo diyā
kaise kahūñ ki rut kī kaḌī rau se haar kar
jīvan ke is safar meñ tujhe maiñ ne kho diyā
lafzon ki sanglaKH silon mein samo diya
yaron ne fan ke phul ko patthar mein bo diya
meri haqiqaton pe na tu hans ki tujh ko bhi
jiddat ke shauq ne sar-e-sahil Dubo diya
Dasti hai ab bhi dil ko kisi ki ThiThakti chap
ek aabju pe jalta hai jab sham ko diya
kaisa KHayal hai ye kahan ki hai tarz-e-fikr
aaya to wo laja gaya bichhDa to ro diya
TuTi jo gir ke jhil ke darpan pe ek kiran
mauj-e-saba ne ruh mein kanTa chubho diya
kal shab muri ki mal pe linTaT se pare
barish ne us ka chand-sa paikar bhigo diya
kaise kahun ki rut ki kaDi rau se haar kar
jiwan ke is safar mein tujhe main ne kho diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.