lafzon ko saja kar jo kahani likhna
lafzoñ ko sajā kar jo kahānī likhnā
ho zikr lahū kā bhī to paanī likhnā
ab aks-e-mohabbat bhī huā hai kamyāb
is daur meñ hai kaisī girānī likhnā
go yaad hai ab tak mujhe ġham kā mausam
par Thiik nahīñ dil kī kahānī likhnā
raftār-e-havā tez huī hai ki nahīñ
ye dekh ke paanī kī ravānī likhnā
piirī ke nagar meñ to hai kohrām bapā
kis haal meñ hai shahr-e-javānī likhnā
guzre hue din kā ho agar zikr 'sadaf'
guzrī hai jo ik shaam suhānī likhnā
lafzon ko saja kar jo kahani likhna
ho zikr lahu ka bhi to pani likhna
ab aks-e-mohabbat bhi hua hai kamyab
is daur mein hai kaisi girani likhna
go yaad hai ab tak mujhe gham ka mausam
par Thik nahin dil ki kahani likhna
raftar-e-hawa tez hui hai ki nahin
ye dekh ke pani ki rawani likhna
piri ke nagar mein to hai kohram bapa
kis haal mein hai shahr-e-jawani likhna
guzre hue din ka ho agar zikr 'sadaf'
guzri hai jo ek sham suhani likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.