lafzon mein kaisa rang-e-maani dikhai de
lafzoñ meñ kaisā rañg-e-ma.ānī dikhā.ī de
mere qalam meñ aaj ravānī dikhā.ī de
jaise ho sat.h-e-ḳhvāb pe ik be-sutūñ makāñ
aalam tamām dosto faanī dikhā.ī de
ye daaġh daaġh apnā dil-e-ġham nasīb thā
yaaro nigār-ḳhāna-e-mānī dikhā.ī de
tum talḳh zindagī ke haqā.eq se be-ḳhabar
tum ko hayāt kyuuñ na suhānī dikhā.ī de
vo munjamid hai barf kī mānind ai 'shamīm'
bātoñ meñ jis kī sho.ala-bayānī dikhā.ī de
lafzon mein kaisa rang-e-maani dikhai de
mere qalam mein aaj rawani dikhai de
jaise ho sath-e-KHwab pe ek be-sutun makan
aalam tamam dosto fani dikhai de
ye dagh dagh apna dil-e-gham nasib tha
yaro nigar-KHana-e-mani dikhai de
tum talKH zindagi ke haqaeq se be-KHabar
tum ko hayat kyun na suhani dikhai de
wo munjamid hai barf ki manind ai 'shamim'
baaton mein jis ki shoala-bayani dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.