lafzon mein un ka naqsh-e-kaf-e-pa dikhai de
lafzoñ meñ un kā naqsh-e-kaf-e-pā dikhā.ī de
na.at-e-nabī kahūñ to madīna dikhā.ī de
har dam ho jis ko rahmat-e-ālam tirā ḳhayāl
tūfān meñ bhī us ko jazīra dikhā.ī de
na.at-e-nabī ke saath maiñ paḌhtī rahūñ darūd
mujh ko yahī najāt kā rasta dikhā.ī de
de merī aañkh ko bhī basārat mire ḳhudā
jo shaḳhs un kā ho vahī un kā dikhā.ī de
saarī nahīñ ye husn-e-mohammad kī raushnī
sūraj to un kā naqsh-e-kaf-e-pā dikhā.ī de
dariyā pe chal ke jā.ūñgī arz-e-hijāz tak
mujh ko to pāniyoñ pe bhī rasta dikhā.ī de
phir vaqt ho gayā hai azān-e-bilāl kā
sahrā-e-zindagī mujhe sonā dikhā.e de
sochūñ tamām din dar-e-aqdas ko maiñ 'qamar'
aate hī niiñd gumbad-e-ḳhazrā dikhā.ī de
lafzon mein un ka naqsh-e-kaf-e-pa dikhai de
nat-e-nabi kahun to madina dikhai de
har dam ho jis ko rahmat-e-alam tera KHayal
tufan mein bhi us ko jazira dikhai de
nat-e-nabi ke sath main paDhti rahun darud
mujh ko yahi najat ka rasta dikhai de
de meri aankh ko bhi basarat mere KHuda
jo shaKHs un ka ho wahi un ka dikhai de
sari nahin ye husn-e-mohammad ki raushni
suraj to un ka naqsh-e-kaf-e-pa dikhai de
dariya pe chal ke jaungi arz-e-hijaz tak
mujh ko to paniyon pe bhi rasta dikhai de
phir waqt ho gaya hai azan-e-bilal ka
sahra-e-zindagi mujhe sona dikhae de
sochun tamam din dar-e-aqdas ko main 'qamar'
aate hi nind gumbad-e-KHazra dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.