lafzon se baDa hai na maani se baDa hai
lafzoñ se baḌā hai na ma.ānī se baḌā hai
vo shaḳhs to bas tez zabānī se baḌā hai
chhoTā jo samajhte haiñ mujhe log to samjheñ
kirdār mirā merā kahānī se baḌā hai
Thahre hue paanī meñ nahīñ koī baḌā.ī
paanī jo baḌā hai to ravānī se baḌā hai
hai kaun yahāñ us kī jo tasvīr banā de
maiñ us ko ye samjhūñgā ki maanī se baḌā hai
ma.alūm kahāñ sab ko bhalā dard kī qīmat
ye dard to us dushman-e-jānī se baḌā hai
sahrā kī baḌā.ī hai faqat reg-e-ravāñ se
dariyā ko yahī jāniye paanī se baḌā hai
lafzon se baDa hai na maani se baDa hai
wo shaKHs to bas tez zabani se baDa hai
chhoTa jo samajhte hain mujhe log to samjhen
kirdar mera mera kahani se baDa hai
Thahre hue pani mein nahin koi baDai
pani jo baDa hai to rawani se baDa hai
hai kaun yahan us ki jo taswir bana de
main us ko ye samjhunga ki mani se baDa hai
malum kahan sab ko bhala dard ki qimat
ye dard to us dushman-e-jaani se baDa hai
sahra ki baDai hai faqat reg-e-rawan se
dariya ko yahi jaaniye pani se baDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.