lafzon se taswir banata jaun main
lafzoñ se tasvīr banātā jā.ūñ maiñ
hañste-gāte rang dikhātā jā.ūñ maiñ
tere dam se jīvan meñ hariyālī hai
dhuup tujhe sapnoñ meñ sajātā jā.ūñ maiñ
harf-o-qalam kī jaulānī jab qaa.em hai
kāġhaz kāġhaz khet ugātā jā.ūñ maiñ
siina siina sūraj ban kar jab utrūñ
unglī unglī ḳhvāb jagātā jā.ūñ maiñ
dariyā dariyā apne andar yuuñ phailūñ
jangal jangal raah banātā jā.ūñ maiñ
kachchī kachchī phuul sitāre sho.ale ḳhuun kitāb
apne kitne ruup dikhātā jā.ūñ maiñ
zehn jale angāra āñkheñ ho jaa.eñ
jazboñ ke mahtāb luTātā jā.ūñ maiñ
lafzon se taswir banata jaun main
hanste-gate rang dikhata jaun main
tere dam se jiwan mein hariyali hai
dhup tujhe sapnon mein sajata jaun main
harf-o-qalam ki jaulani jab qaem hai
kaghaz kaghaz khet ugata jaun main
sina sina suraj ban kar jab utrun
ungli ungli KHwab jagata jaun main
dariya dariya apne andar yun phailun
jangal jangal rah banata jaun main
kachchi kachchi phul sitare shoale KHun kitab
apne kitne rup dikhata jaun main
zehn jale angara aankhen ho jaen
jazbon ke mahtab luTata jaun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.