lag gai kis ki bad-dua tumko
lag ga.ī kis kī bad-du'ā tum ko
jurm ham ne kiyā sazā tum ko
ḳhairiyat jānñe kā hāsil kyā
kyā rahā ham se vāsta tum ko
ham ġharīboñ ke kaam aate raho
degā is kā sila ḳhudā tum ko
hādso aao thoḌā dam le lo
kaise merā pata milā tum ko
ham muqābil nahīñ the ab ke baar
chun liyā sab ne rahnumā tum ko
tum kahāñ ho husain ibn-e-'alī
phir pukāre hai karbalā tum ko
sun lo donoñ taraf kī ai 'kausar'
jab bhī karnā ho faisla tum ko
lag gai kis ki bad-du'a tum ko
jurm hum ne kiya saza tum ko
KHairiyat jaanne ka hasil kya
kya raha hum se wasta tum ko
hum gharibon ke kaam aate raho
dega is ka sila KHuda tum ko
hadso aao thoDa dam le lo
kaise mera pata mila tum ko
hum muqabil nahin the ab ke bar
chun liya sab ne rahnuma tum ko
tum kahan ho husain ibn-e-'ali
phir pukare hai karbala tum ko
sun lo donon taraf ki ai 'kausar'
jab bhi karna ho faisla tum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.