lag ke baiTha tha ek kone se
lag ke baiThā thā ek kone se
tāza-dam ho gayā huuñ rone se
ye javāñ saal ho gayā būḌhā
ik tajassus kā bojh Dhone se
ḳhvāb āñkhoñ pe baar hote haiñ
maiñ bahut thak gayā hoñ sone se
dil bhī kitnā ajiib hotā hai
jo bahaltā nahīñ khilaune se
vo mohabbat nahīñ milī ham ko
vāqi.a rah gayā hai hone se
misl-e-yāqūb bhī nahīñ ham log
āñkheñ andhī haiñ phir bhī rone se
ham faqat ḳhuun ro.eñge 'rāshid'
ham rahe shahr ko Dubone se
lag ke baiTha tha ek kone se
taza-dam ho gaya hun rone se
ye jawan sal ho gaya buDha
ek tajassus ka bojh Dhone se
KHwab aankhon pe bar hote hain
main bahut thak gaya hon sone se
dil bhi kitna ajib hota hai
jo bahalta nahin khilaune se
wo mohabbat nahin mili hum ko
waqia rah gaya hai hone se
misl-e-yaqub bhi nahin hum log
aankhen andhi hain phir bhi rone se
hum faqat KHun roenge 'rashid'
hum rahe shahr ko Dubone se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.