lag raha hai sanwar raha hun main
lag rahā hai sañvar rahā huuñ maiñ
ab jo itnā bikhar rahā huuñ maiñ
ab vo āvārgī nasīb kahāñ
kyā hī din the ki ghar rahā huuñ maiñ
piiTh par ik zamīn laade hue
āsmāñ se guzar rahā huuñ maiñ
zindagī aur maut ke mābain
ik ḳhalā hai jo bhar rahā huuñ maiñ
apne ghar se kabhī nahīñ niklā
aur mahv-e-safar rahā huuñ maiñ
lag raha hai sanwar raha hun main
ab jo itna bikhar raha hun main
ab wo aawargi nasib kahan
kya hi din the ki ghar raha hun main
piTh par ek zamin lade hue
aasman se guzar raha hun main
zindagi aur maut ke mabain
ek KHala hai jo bhar raha hun main
apne ghar se kabhi nahin nikla
aur mahw-e-safar raha hun main
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 95)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 93)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.