lag raha tha yahin kahin ho tum
lag rahā thā yahīñ kahīñ ho tum
kaash hote magar nahīñ ho tum
sirf bārish meñ vasl mumkin hai
āsmāñ maiñ huuñ aur zamīñ ho tum
duur se bhī ho dil-nashīñ lekin
sāmne kis qadar hasīñ ho tum
kab se mujh ko nahīñ mile dekho
yaar kyā zer-e-āstīñ ho tum
jis jagah thā maiñ phir vahīñ huuñ maiñ
jis jagah thā maiñ kyā vahīñ ho tum
lag raha tha yahin kahin ho tum
kash hote magar nahin ho tum
sirf barish mein wasl mumkin hai
aasman main hun aur zamin ho tum
dur se bhi ho dil-nashin lekin
samne kis qadar hasin ho tum
kab se mujh ko nahin mile dekho
yar kya zer-e-astin ho tum
jis jagah tha main phir wahin hun main
jis jagah tha main kya wahin ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.