lag rahi hai jis tarah lala ke sare ban ko aag
lag rahī hai jis tarah laala ke saare ban ko aag
dil ko apne daaġh dev ai āshiqo aur tan ko aag
gul pe ye shabnam nahīñ paanī chhiḌaktī hai bahār
hā.e-re kinne lagā.ī aa ke is gulshan ko aag
ham siyah-baḳhtoñ kā kyūñ-kar rā.egāñ jaave vabāl
shaam niiñ phūlī ye laagī hai falak ke tan ko aag
chal 'yaqīñ' kī baat par ai 'ishq' ham bhī jal mareñ
kyā hī phūlā hai pilās aur lag rahī hai ban ko aag
lag rahi hai jis tarah lala ke sare ban ko aag
dil ko apne dagh dew ai aashiqo aur tan ko aag
gul pe ye shabnam nahin pani chhiDakti hai bahaar
hae-re kinne lagai aa ke is gulshan ko aag
hum siyah-baKHton ka kyun-kar raegan jawe wabaal
sham nin phuli ye lagi hai falak ke tan ko aag
chal 'yaqin' ki baat par ai 'ishq' hum bhi jal maren
kya hi phula hai pilas aur lag rahi hai ban ko aag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.