laga di kaghzi malbus par mohr-e-sabaat apni
lagā dī kāġhzī malbūs par mohr-e-sabāt apnī
bashar ke naam kar dī hai ḳhudā ne kā.enāt apnī
ḳhalā ke aar bhī maiñ huuñ ḳhalā ke paar bhī maiñ huuñ
ubuur ik pal meñ kartā huuñ hudūd-e-mumkināt apnī
jiyūñgā apnī marzī se marūñgā apnī marzī se
mire zer-e-tasallut hai fanā apnī hayāt apnī
likhī hai maiñ ne apne haath par tahrīr-e-ā.inda
mirī apnī virāsat hai qalam apnā davāt apnī
maiñ ḳhud par āzmā.ūñgā ḳhud apnā āḳhirī daav
ḳhabar hai mujh ko 'sājid' jiit ban jā.egī maat apnī
laga di kaghzi malbus par mohr-e-sabaat apni
bashar ke nam kar di hai KHuda ne kaenat apni
KHala ke aar bhi main hun KHala ke par bhi main hun
ubur ek pal mein karta hun hudud-e-mumkinat apni
jiyunga apni marzi se marunga apni marzi se
mere zer-e-tasallut hai fana apni hayat apni
likhi hai main ne apne hath par tahrir-e-ainda
meri apni wirasat hai qalam apna dawat apni
main KHud par aazmaunga KHud apna aaKHiri daw
KHabar hai mujh ko 'sajid' jit ban jaegi mat apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.