laga diya meri wahshat ne sab Thikane se
lagā diyā mirī vahshat ne sab Thikāne se
havā to Dartī hai ab ḳhaak tak uḌāne se
mirī nazar se huā ik ġhalat shikār hai vo
ye tiir chuuk gayā thā kabhī nishāne se
ye raqs us kī badaulat hai vahshatoñ kā yahāñ
vagarna kaun hai vāqif mire Thikāne se
talāshtā thā bahāna vo qurb kā mere
jo chāhtā hai bichhaḌnā kisī bahāne se
vahī Thahartā hai unvān kāvishoñ kā mirī
maiñ us ko laakh bhī rakkhūñ alag fasāne se
nazar ke hote hue kuchh nazar nahīñ aatā
ye mas.ala hai kisī ke nazar na aane se
vo be-vafā bhī hai hissa isī zamāne kā
gilā kiyā nahīñ ye soch kar zamāne se
laga diya meri wahshat ne sab Thikane se
hawa to Darti hai ab KHak tak uDane se
meri nazar se hua ek ghalat shikar hai wo
ye tir chuk gaya tha kabhi nishane se
ye raqs us ki badaulat hai wahshaton ka yahan
wagarna kaun hai waqif mere Thikane se
talashta tha bahana wo qurb ka mere
jo chahta hai bichhaDna kisi bahane se
wahi Thaharta hai unwan kawishon ka meri
main us ko lakh bhi rakkhun alag fasane se
nazar ke hote hue kuchh nazar nahin aata
ye masala hai kisi ke nazar na aane se
wo be-wafa bhi hai hissa isi zamane ka
gila kiya nahin ye soch kar zamane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.