laga hai aaina nazar churane hum ko dekh kar
lagā hai ā.īna nazar churāne ham ko dekh kar
nazar use bhī kuchh lagā hai aane ham ko dekh kar
vo kyā thī baat jo habīb kar rahā habīb se
lagā jo baat aur vo banāne ham ko dekh kar
vo shams jo nikaltā sahn se thā le hamārī taab
lagā hai meñDh kā diyā bujhāne ham ko dekh kar
hamārī paane ko jhalak guzārī puurī shab idhar
lagā galī kā moḌ vo bhulāne ham ko dekh kar
thā thāmā ham ne har qadam pe nanhe se jo qadmoñ ko
chhuḌā ke haath ab lagā hai jaane ham ko dekh kar
hamāre bin the mai-kade vo be-surūr be-ḳhumār
ki dekho phir nasha lagā hai chhāne ham ko dekh kar
laga hai aaina nazar churane hum ko dekh kar
nazar use bhi kuchh laga hai aane hum ko dekh kar
wo kya thi baat jo habib kar raha habib se
laga jo baat aur wo banane hum ko dekh kar
wo shams jo nikalta sahn se tha le hamari tab
laga hai meinDh ka diya bujhane hum ko dekh kar
hamari pane ko jhalak guzari puri shab idhar
laga gali ka moD wo bhulane hum ko dekh kar
tha thama hum ne har qadam pe nanhe se jo qadmon ko
chhuDa ke hath ab laga hai jaane hum ko dekh kar
hamare bin the mai-kade wo be-surur be-KHumar
ki dekho phir nasha laga hai chhane hum ko dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.