laga hai dhaDka koi waswason ne aa liya hai
lagā hai dhaḌkā koī vasvasoñ ne aa liyā hai
'adū ne sulh ke badle kumak se kyā liyā hai
kisī gumān kā paikar tarāshne ke liye
shab-o-sahar se samay kā hijāb uThā liyā hai
ye rā.igānī burī to nahīñ ki jab ham ne
tirī talāsh meñ apnā surāġh pā liyā hai
laga hai dhaDka koi waswason ne aa liya hai
'adu ne sulh ke badle kumak se kya liya hai
kisi guman ka paikar tarashne ke liye
shab-o-sahar se samay ka hijab uTha liya hai
ye raigani buri to nahin ki jab hum ne
teri talash mein apna suragh pa liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.