laga hai rog jab se aashiqi ka
lagā hai rog jab se āshiqī kā
maza aane lagā hai zindagī kā
ise ham dostī kaise kaheñge
bharosa jab nahīñ hai dostī kā
ḳhudī se be-niyāz ho jā.iyegā
ibādat naam hai dīvāngī kā
hamāre daur kī hai mehrbānī
hai dushman aadmī hī aadmī kā
sar-e-mahfil qayāfe lag rahe haiñ
sabab kyā hai tumhārī ḳhāmushī kā
mile gar saath ham ko terā 'tābish'
maza kuchh hai alag hī mai-kashī kā
laga hai rog jab se aashiqi ka
maza aane laga hai zindagi ka
ise hum dosti kaise kahenge
bharosa jab nahin hai dosti ka
KHudi se be-niyaz ho jaiyega
ibaadat nam hai diwangi ka
hamare daur ki hai mehrbani
hai dushman aadmi hi aadmi ka
sar-e-mahfil qayafe lag rahe hain
sabab kya hai tumhaari KHamushi ka
mile gar sath hum ko tera 'tabish'
maza kuchh hai alag hi mai-kashi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.