laga kar der jaldi karni hoti hai
lagā kar der jaldī karnī hotī hai
saḌak ne apnī marzī karnī hotī hai
zarūrī hai ki maut apnī mareñ saare
kisī ne ḳhud-kushī bhī karnī hotī hai
yaqīñ qismat pe karte haiñ magar phir bhī
hameñ apnī tasallī karnī hotī hai
kisī kī be-gharī se un ko matlab kyā
unheñ to gaaḌī ḳhālī karnī hotī hai
lagā kar paas se bāteñ bhī logoñ ne
kahānī aur sachchī karnī hotī hai
laga kar der jaldi karni hoti hai
saDak ne apni marzi karni hoti hai
zaruri hai ki maut apni maren sare
kisi ne KHud-kushi bhi karni hoti hai
yaqin qismat pe karte hain magar phir bhi
hamein apni tasalli karni hoti hai
kisi ki be-ghari se un ko matlab kya
unhen to gaDi KHali karni hoti hai
laga kar pas se baaten bhi logon ne
kahani aur sachchi karni hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.