laga ke dil kabhi aansu bhi hum baha na sake
lagā ke dil kabhī aañsū bhī ham bahā na sake
lagī jo aag jigar meñ use bujhā na sake
kiyā za.iif tire qasd-e-justujū ne hameñ
ki tā-lahad bhī ham apne qadam se jā na sake
vo aaj bazm meñ tevar chaḌhā.e aa.e haiñ
ki hāl-e-dil koī apnā unheñ sunā na sake
azal se naam pe mere faroġh likkhā thā
vo mujh ko laakh miTāyā kiye miTā na sake
sulā ke qabr meñ dete ho thapkiyāñ sāhib
ki mujh ko shor-e-qayāmat bhī ab jagā na sake
hamārā daulat-e-duniyā ne sar buland kiyā
ki dar pe dost ke sajde ko sar jhukā na sake
hamāre dil meñ likhī thī magar tirī ulfat
ki ham jamāl-e-jahāñ se fareb khā na sake
burā ho rang-e-ruḳh-e-nā-murād kā 'ālī'
kisī kā raaz kaleje meñ ham chhupā na sake
laga ke dil kabhi aansu bhi hum baha na sake
lagi jo aag jigar mein use bujha na sake
kiya zaif tere qasd-e-justuju ne hamein
ki ta-lahad bhi hum apne qadam se ja na sake
wo aaj bazm mein tewar chaDhae aae hain
ki haal-e-dil koi apna unhen suna na sake
azal se nam pe mere farogh likkha tha
wo mujh ko lakh miTaya kiye miTa na sake
sula ke qabr mein dete ho thapkiyan sahib
ki mujh ko shor-e-qayamat bhi ab jaga na sake
hamara daulat-e-duniya ne sar buland kiya
ki dar pe dost ke sajde ko sar jhuka na sake
hamare dil mein likhi thi magar teri ulfat
ki hum jamal-e-jahan se fareb kha na sake
bura ho rang-e-ruKH-e-na-murad ka 'ali'
kisi ka raaz kaleje mein hum chhupa na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.