laga ke ghota samundar mein tum guhar DhunDo
lagā ke ġhota samundar meñ tum guhar DhūñDo
kamāl jiine meñ hai jiine ke hunar DhūñDo
muqaddaroñ se hī sab kuchh to mil nahīñ saktā
shajar lagāo to mehnat ke phir samar DhūñDo
uḌaan bharne ke hai vāste falak saarā
haiñ bāzuoñ meñ jo pinhāñ vo bāl-o-par DhūñDo
har ek raat meñ to chāñdnī nahīñ khiltī
dahak rahā hai kahīñ tum meñ hī qamar DhūñDo
guzar ke aag se Dhaltā hai sonā zevar meñ
agar sañvarnā hai 'tāsīr' shola-gar DhūñDo
laga ke ghota samundar mein tum guhar DhunDo
kamal jine mein hai jine ke hunar DhunDo
muqaddaron se hi sab kuchh to mil nahin sakta
shajar lagao to mehnat ke phir samar DhunDo
uDan bharne ke hai waste falak sara
hain bazuon mein jo pinhan wo baal-o-par DhunDo
har ek raat mein to chandni nahin khilti
dahak raha hai kahin tum mein hi qamar DhunDo
guzar ke aag se Dhalta hai sona zewar mein
agar sanwarna hai 'tasir' shola-gar DhunDo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.