laga liya tha dil ko ek sil ke sath
lagā liyā thā dil ko ek sil ke saath
so jī rahā huuñ dard-e-mustaqil ke saath
sab apnī apnī jannatoñ meñ kho ga.e
kise paḌī nibhātā mujh ḳhajil ke saath
maiñ jis taraf thā jaan kī amaañ na thī
vo ho gayā hujūm-e-mushta.il ke saath
uḌaan bhar rahā thā vo ḳhalāoñ kī
hamārā rābta thā āb-o-gil ke saath
be-itmīnān ho gayā tirā asiir
ye kyā kiyā hai tū ne mere dil ke saath
phir us ke zikr ne rulā diyā 'zakī'
hai chheḌ-chhāḌ zaḳhm-e-mundamil ke saath
laga liya tha dil ko ek sil ke sath
so ji raha hun dard-e-mustaqil ke sath
sab apni apni jannaton mein kho gae
kise paDi nibhata mujh KHajil ke sath
main jis taraf tha jaan ki aman na thi
wo ho gaya hujum-e-mushtail ke sath
uDan bhar raha tha wo KHalaon ki
hamara rabta tha aab-o-gil ke sath
be-itminan ho gaya tera asir
ye kya kiya hai tu ne mere dil ke sath
phir us ke zikr ne rula diya 'zaki'
hai chheD-chhaD zaKHm-e-mundamil ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.