laga pahchanne main raste jab
lagā pahchānñe maiñ rāste jab
nikālā us ne mujh ko shahr se tab
hadaf kyā thā kahāñ pahuñchā hai insāñ
sharaf ḳhilqat meñ a.alā aur ye Dhab
na rakkhī aas juz lutf-e-ilāhī
ki kaafī hai mujhe merā vo ik rab
kaheñ kuchh shaiḳh jī kyuuñ kar kaTegī
binā añgūr kī beTī ke ye shab
numāyāñ kar ga.ī haq kī haqīqat
shab-e-āshūr jo aa.ī thī ik shab
maiñ aasī huuñ magar ġhībat meñ 'shārib'
ḳhudā kā shukr hai khulte nahīñ lab
laga pahchanne main raste jab
nikala us ne mujh ko shahr se tab
hadaf kya tha kahan pahuncha hai insan
sharaf KHilqat mein aala aur ye Dhab
na rakkhi aas juz lutf-e-ilahi
ki kafi hai mujhe mera wo ek rab
kahen kuchh shaiKH ji kyun kar kaTegi
bina angur ki beTi ke ye shab
numayan kar gai haq ki haqiqat
shab-e-ashur jo aai thi ek shab
main aasi hun magar ghibat mein 'shaarib'
KHuda ka shukr hai khulte nahin lab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.