lagane lagti hai duniya ajib ajib qayas
lagāne lagtī hai duniyā ajiib ajiib qayās
tabhī to oḌhā huā hai udāsiyoñ kā libās
hazār baar hī uchaTā hai merā dil us se
hazār baar hī ye duniyā mujh ko aa.ī raas
zamīñ pe raat bichhī hai idhar shikasta umiid
falak pe chāñd ugā hai udhar udaas udaas
baḌhī huī hai 'sabā' aaj us kī yaad kī lau
chamak uThī hai mire dil meñ phir bujhī huī aas
lagane lagti hai duniya ajib ajib qayas
tabhi to oDha hua hai udasiyon ka libas
hazar bar hi uchaTa hai mera dil us se
hazar bar hi ye duniya mujh ko aai ras
zamin pe raat bichhi hai idhar shikasta umid
falak pe chand uga hai udhar udas udas
baDhi hui hai 'saba' aaj us ki yaad ki lau
chamak uThi hai mere dil mein phir bujhi hui aas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.