lagan zindagi ki jagani paDegi
lagan zindagī kī jagānī paḌegī
ḳhushī sab kī ḳhātir manānī paḌegī
gharāne kī izzat bachānī paḌegī
hañsī to laboñ par sajānī paḌegī
abhī mil ga.e ham kabhī ye bhī hogā
ki rasm-e-judā.ī nibhānī paḌegī
tujhe kho ke jiinā bhī kyā zindagī hai
magar zindagī yuuñ bitānī paḌegī
terā sheva chaltī havāoñ se laḌnā
har ik baat tujh se chhupānī paḌegī
tere tīkhe tevar batāte haiñ mujh ko
ki hastī to apnī miTānī paḌegī
lagan zindagi ki jagani paDegi
KHushi sab ki KHatir manani paDegi
gharane ki izzat bachani paDegi
hansi to labon par sajaani paDegi
abhi mil gae hum kabhi ye bhi hoga
ki rasm-e-judai nibhani paDegi
tujhe kho ke jina bhi kya zindagi hai
magar zindagi yun bitani paDegi
tera shewa chalti hawaon se laDna
har ek baat tujh se chhupani paDegi
tere tikhe tewar batate hain mujh ko
ki hasti to apni miTani paDegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.