lage KHadang jab us nala-e-sahar ka sa
lage ḳhadañg jab us nāla-e-sahar kā sā
falak kā haal na ho kyā mire jigar kā sā
na jā.ūñgā kabhī jannat meñ maiñ na jā.ūñgā
agar na hovegā naqsha tumhāre ghar kā sā
kare na ḳhāna-ḳharābī tirī nadāmat-e-jaur
ki āb-e-sharm meñ hai josh chashm-e-tar kā sā
ye josh yaas to dekho ki apne qatl ke vaqt
duā-e-vasl na kī vaqt thā asar kā sā
lage un āñkhoñ se har-vaqt ai dil-e-sad-chāk
tirā na rutba huā kyuuñ shigāf-e-dar kā sā
zarā ho garmi-e-sohbat to ḳhaak kar de charḳh
mirā surūr hai gul-ḳhanda-e-sharar kā sā
ye nā-tavāñ huuñ ki huuñ aur nazar nahīñ aatā
mirā bhī haal huā terī hī kamar kā sā
junūn ke josh se begāna-vār haiñ ahbāb
hamārā haal vatan meñ huā safar kā sā
ḳhabar nahīñ ki use kyā huā par is dar par
nishān-e-pā nazar aatā hai nāma-bar kā sā
dil aise shoḳh ko 'momin' ne de diyā ki vo hai
muhib husain kā aur dil rakhe shimar kā sā
lage KHadang jab us nala-e-sahar ka sa
falak ka haal na ho kya mere jigar ka sa
na jaunga kabhi jannat mein main na jaunga
agar na howega naqsha tumhaare ghar ka sa
kare na KHana-KHarabi teri nadamat-e-jaur
ki aab-e-sharm mein hai josh chashm-e-tar ka sa
ye josh yas to dekho ki apne qatl ke waqt
dua-e-wasl na ki waqt tha asar ka sa
lage un aankhon se har-waqt ai dil-e-sad-chaak
tera na rutba hua kyun shigaf-e-dar ka sa
zara ho garmi-e-sohbat to KHak kar de charKH
mera surur hai gul-KHanda-e-sharar ka sa
ye na-tawan hun ki hun aur nazar nahin aata
mera bhi haal hua teri hi kamar ka sa
junun ke josh se begana-war hain ahbab
hamara haal watan mein hua safar ka sa
KHabar nahin ki use kya hua par is dar par
nishan-e-pa nazar aata hai nama-bar ka sa
dil aise shoKH ko 'momin' ne de diya ki wo hai
muhib husain ka aur dil rakhe shimar ka sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.