lage wo bhulne phir aaj lafzon ki rawani mein
lage vo bhūlne phir aaj lafzoñ kī ravānī meñ
hamārā bhī to koī zikr thā un kī kahānī meñ
agar kartā hai yūñhī mehrbānī aap par koī
ġharaz koī chhupī hotī hai us kī mehrbānī meñ
hamāre shahr meñ jo āj-kal dahshat kā charchā hai
hai kis kā haath āḳhir is balā-e-nā-gahānī meñ
miTā detā hai zālim vaqt-e-āḳhir ḳhāl-o-ḳhad sab ke
huā karte haiñ sab hī ḳhūb-sūrat naujavānī meñ
girānī har tarah kī thī gavāra ab talak lekin
ḳhulūs-o-mehr bhī mahñge hue daur-e-girānī meñ
zabāñ hotī to shāyad aur bhī kyā kuchh na kah jaate
bahut kuchh kah ga.e duniyā se ham is be-zabānī meñ
khileñ jab phuul to ham kuuch kar jaa.eñ gulistāñ se
bhalā rakkhā hī kyā hai dahr kī is bāġhbānī meñ
mohabbat thī yā pāgal-pan nahīñ mā'lūm kuchh 'azrā'
luTā baiThe ham apnī jaañ tumhārī pāsbānī meñ
lage wo bhulne phir aaj lafzon ki rawani mein
hamara bhi to koi zikr tha un ki kahani mein
agar karta hai yunhi mehrbani aap par koi
gharaz koi chhupi hoti hai us ki mehrbani mein
hamare shahr mein jo aaj-kal dahshat ka charcha hai
hai kis ka hath aaKHir is bala-e-na-gahani mein
miTa deta hai zalim waqt-e-aKHir KHal-o-KHad sab ke
hua karte hain sab hi KHub-surat naujawani mein
girani har tarah ki thi gawara ab talak lekin
KHulus-o-mehr bhi mahnge hue daur-e-girani mein
zaban hoti to shayad aur bhi kya kuchh na kah jate
bahut kuchh kah gae duniya se hum is be-zabani mein
khilen jab phul to hum kuch kar jaen gulistan se
bhala rakkha hi kya hai dahr ki is baghbani mein
mohabbat thi ya pagal-pan nahin ma'lum kuchh 'azra'
luTa baiThe hum apni jaan tumhaari pasbani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.