lagi hai choT jo dil mein ubhar aai to kya hoga
lagī hai choT jo dil meñ ubhar aa.ī to kyā hogā
mohabbat meñ huī jo un kī rusvā.ī to kyā hogā
hamārī be-kasī par aa rahī hai kyoñ hañsī tum ko
tumhārī is hañsī se aañkh bhar aa.ī to kyā hogā
kiye letā huuñ tauba tere kahne se maiñ ai vaa.iz
magar chāroñ taraf kaalī ghaTā chhā.ī to kyā hogā
samajh kar sang-dil jis ko nigāheñ pher liiñ maiñ ne
agar qismat usī patthar se Takrā.ī to kyā hogā
munāsib hai tumheñ 'iqbāl' un se duur hī rahnā
koī sūrat judā.ī kī nikal aa.ī to kyā hogā
lagi hai choT jo dil mein ubhar aai to kya hoga
mohabbat mein hui jo un ki ruswai to kya hoga
hamari be-kasi par aa rahi hai kyon hansi tum ko
tumhaari is hansi se aankh bhar aai to kya hoga
kiye leta hun tauba tere kahne se main ai waiz
magar chaaron taraf kali ghaTa chhai to kya hoga
samajh kar sang-dil jis ko nigahen pher lin main ne
agar qismat usi patthar se Takrai to kya hoga
munasib hai tumhein 'iqbaal' un se dur hi rahna
koi surat judai ki nikal aai to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.