lagta hai hamesha se isi kaam lage hain
lagtā hai hamesha se isī kaam lage haiñ
ye peḌ mashaqqat pe sar-e-ām lage haiñ
din-rāt munāsib nahīñ mahñgā.ī kā ronā
yūsuf se bahut saste mire daam lage haiñ
us sub.h ke hone meñ abhī raat paḌī hai
jis sub.h kī koshish meñ sar-e-shām lage haiñ
phal-phūl daraḳhtoñ pe khilā karte haiñ jaise
us tarah mire ranj ko ālām lage haiñ
ik baar mujhe phir ye safā.ī nahīñ denī
pahle bhī ka.ī baar ye ilzām lage haiñ
kyā taisha-e-farhād hai kyā dasht-navardī
ye puḳhta irāde to sabhī ḳhaam lage haiñ
hoñToñ pe abhī tak haiñ tire hoñToñ kī mohreñ
ham haiñ ki hamesha se tire naam lage haiñ
ye nāma-e-a.amāl zarā der muaḳhḳhar
thak-hār ke karne abhī ārām lage haiñ
kam-zarf se 'mas.ūd' bhalā.ī kī tavaqqo
kīkar ke daraḳhtoñ pe kabhī aam lage haiñ
lagta hai hamesha se isi kaam lage hain
ye peD mashaqqat pe sar-e-am lage hain
din-raat munasib nahin mahngai ka rona
yusuf se bahut saste mere dam lage hain
us subh ke hone mein abhi raat paDi hai
jis subh ki koshish mein sar-e-sham lage hain
phal-phul daraKHton pe khila karte hain jaise
us tarah mere ranj ko aalam lage hain
ek bar mujhe phir ye safai nahin deni
pahle bhi kai bar ye ilzam lage hain
kya taisha-e-farhad hai kya dasht-nawardi
ye puKHta irade to sabhi KHam lage hain
honTon pe abhi tak hain tere honTon ki mohren
hum hain ki hamesha se tere nam lage hain
ye nama-e-amal zara der muaKHKHar
thak-haar ke karne abhi aaram lage hain
kam-zarf se 'masud' bhalai ki tawaqqo
kikar ke daraKHton pe kabhi aam lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.