lagta hai in dinon ke hai mahshar-ba-kaf hawa
lagta hai in dinon ke hai mahshar-ba-kaf hawa
Waqar Hilm Syed Naglavi
MORE BYWaqar Hilm Syed Naglavi
lagtā hai in dinoñ ke hai mahshar-ba-kaf havā
haiñ sar-ba-kaf charāġh to ḳhanjar-ba-kaf huā
jab se chaman meñ rakkhā hai bulbul ne āshiyāñ
sho.ala-ba-kaf hai barq to aḳhgar-ba-kaf havā
ruḳhsār-e-gul ke til se haiñ hairān ḳhushbueñ
hai mausam-e-bahār meñ ambar-ba-kaf huā
ilm-o-amal se hotī hai kirdār kī parakh
elaan kar rahī hai ye mahzar-ba-kaf havā
fir.aun aur abrha jaisoñ se bārhā
har haal hī meñ nibTī hai lashkar-ba-kaf havā
e.ajāz sher-e-haq kā dikhāne ke vāste
azhdar ba-kaf huī kabhī ḳhaibar-ba-kaf havā
gulshan meñ mustaqil jo Thikānā nahīñ milā
sahrā navard ho ga.ī bistar-ba-kaf havā
dīvān-e-be-nuqat se hai terā 'vaqār-hilm'
kahtī hai ahl-e-fan se ye gauhar-ba-kaf havā
lagta hai in dinon ke hai mahshar-ba-kaf hawa
hain sar-ba-kaf charagh to KHanjar-ba-kaf hua
jab se chaman mein rakkha hai bulbul ne aashiyan
shoala-ba-kaf hai barq to aKHgar-ba-kaf hawa
ruKHsar-e-gul ke til se hain hairan KHushbuen
hai mausam-e-bahaar mein ambar-ba-kaf hua
ilm-o-amal se hoti hai kirdar ki parakh
elan kar rahi hai ye mahzar-ba-kaf hawa
firaun aur abrha jaison se barha
har haal hi mein nibTi hai lashkar-ba-kaf hawa
eajaz sher-e-haq ka dikhane ke waste
azhdar ba-kaf hui kabhi KHaibar-ba-kaf hawa
gulshan mein mustaqil jo Thikana nahin mila
sahra naward ho gai bistar-ba-kaf hawa
diwan-e-be-nuqat se hai tera 'waqar-hilm'
kahti hai ahl-e-fan se ye gauhar-ba-kaf hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.