lagta hai teri aql tere sar mein chhed hai
lagtā hai terī aql tire sar meñ chhed hai
uḌte hue bhī kah rahā hai par meñ chhed hai
ham log mutma.in haiñ aur is darja mutma.in
kamre meñ chhup ke baiThe haiñ aur dar meñ chhed hai
mere muāmle meñ hai vo shaḳhs sang-dil
auroñ ke vāste usī patthar meñ chhed hai
lālach meñ aa ke nekī samundar meñ Daal dī
aur phir patā chalā ki samundar meñ chhed hai
apne ziyāñ pe aap akele hī roiye
'ahmad' ke haañ to apne muqaddar meñ chhed hai
lagta hai teri aql tere sar mein chhed hai
uDte hue bhi kah raha hai par mein chhed hai
hum log mutmain hain aur is darja mutmain
kamre mein chhup ke baiThe hain aur dar mein chhed hai
mere muamle mein hai wo shaKHs sang-dil
auron ke waste usi patthar mein chhed hai
lalach mein aa ke neki samundar mein Dal di
aur phir pata chala ki samundar mein chhed hai
apne ziyan pe aap akele hi roiye
'ahmad' ke han to apne muqaddar mein chhed hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.