lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein
lagtā nahīñ hai dil mirā ujḌe dayār meñ
ik umr kaT ga.ī hai tire intizār meñ
qaa.em raheñ ḳhudā-rā mirī sab ye hasrateñ
dūñgā jagah inheñ bhī dil-e-dāġh-dār meñ
ḳhāroñ se vāsta hameñ haiñ ḳhaar hī aziiz
gul hī to haiñ jo vāzeh hue shakl-e-ḳhār meñ
patjhaḌ ke mausamoñ meñ huī zindagī tamām
aatī nazar bahār nahīñ hai bahār meñ
ruk ruk ke rakh rahā huuñ rah-e-āshiqī meñ paañv
kāñTe bichhā diye haiñ tumhīñ ne to pyaar meñ
dāman bhigo sake mire ashkoñ meñ Dhal sake
itnā lahū kahāñ hai dil-e-dāġhdār meñ
jis ḳhāk-e-pā kī khoj meñ tū thak gayā hai 'ġham'
milnā hai ek din isī gard-o-ġhubār meñ
lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein
ek umr kaT gai hai tere intizar mein
qaem rahen KHuda-ra meri sab ye hasraten
dunga jagah inhen bhi dil-e-dagh-dar mein
KHaron se wasta hamein hain KHar hi aziz
gul hi to hain jo wazeh hue shakl-e-KHar mein
patjhaD ke mausamon mein hui zindagi tamam
aati nazar bahaar nahin hai bahaar mein
ruk ruk ke rakh raha hun rah-e-ashiqi mein panw
kanTe bichha diye hain tumhin ne to pyar mein
daman bhigo sake mere ashkon mein Dhal sake
itna lahu kahan hai dil-e-daghdar mein
jis KHak-e-pa ki khoj mein tu thak gaya hai 'gham'
milna hai ek din isi gard-o-ghubar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.