lagti nahin hai garmi-sardi
lagtī nahīñ hai garmī-sardī
pahan ke dekho qais kī vardī
ā.īnoñ se pūchh rahā huuñ
kaise miTe chehre kī zardī
ḳhālī bartan bajne lage the
maiñ ne sab meñ miTTī bhar dī
pankh katar detā chiḌiyā ke
tū ne to gardan hī katar dī
ham to dīvāne haiñ tere
dīvānoñ se kyā hamdardī
daanā thā to chup rahtā thā
tū ne sadā pāgal ho kar dī
maiñ to ḳhud hī marne ko thā
chāragaroñ ne jaldī kar dī
lagti nahin hai garmi-sardi
pahan ke dekho qais ki wardi
aainon se puchh raha hun
kaise miTe chehre ki zardi
KHali bartan bajne lage the
main ne sab mein miTTi bhar di
pankh katar deta chiDiya ke
tu ne to gardan hi katar di
hum to diwane hain tere
diwanon se kya hamdardi
dana tha to chup rahta tha
tu ne sada pagal ho kar di
main to KHud hi marne ko tha
chaaragaron ne jaldi kar di
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 105)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.