lagti to hai mazbut magar kachchi baDi hai
lagtī to hai mazbūt magar kachchī baḌī hai
ye ūñchī imārat ki jo haDiyoñ pe banī hai
siina to hai kuchle hue jazbāt kā madfan
chehre pe mahakte hue phūloñ kī laḌī hai
insāñ ko to jiine kā salīqa nahīñ aatā
aur aap ko insān kī azmat kī paḌī hai
haiñ 'faḳhr' vo manzil ke nishāñ sāmne lekin
hālāt kī dīvār bhī raste meñ khaḌī hai
lagti to hai mazbut magar kachchi baDi hai
ye unchi imarat ki jo haDiyon pe bani hai
sina to hai kuchle hue jazbaat ka madfan
chehre pe mahakte hue phulon ki laDi hai
insan ko to jine ka saliqa nahin aata
aur aap ko insan ki azmat ki paDi hai
hain 'faKHr' wo manzil ke nishan samne lekin
haalat ki diwar bhi raste mein khaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.