laghzish pa-e-hosh ka harf-e-jawaz le ke hum
laghzish pa-e-hosh ka harf-e-jawaz le ke hum
Shamsur Rahman Faruqi
MORE BYShamsur Rahman Faruqi
laġhzish pā-e-hosh kā harf-e-javāz le ke ham
ḳhud ko samajhne aa.e haiñ rūh-e-majāz le ke ham
karb ke ek lamhe meñ laakh baras guzar ga.e
mālik-e-hashr kyā kareñ umr-e-darāz le ke ham
shaam kī dhundlī chhāñv meñ phaile haiñ saa.e daar ke
sajda kareñ ki aa.e haiñ zauq-e-namāz le ke ham
duur ufuq pe jā kahīñ donoñ lakīreñ mil ga.iiñ
aa.e to the huzūr-e-dil nāz-o-niyāz le ke ham
raat Dhalī hai chāñd gum duur jale haiñ do diye
raaz to hai pa kis ke paas jaa.eñ ye raaz le ke ham
raqs-e-sharar meñ kho ga.e barq ke dil se mil ga.e
lāla-o-gul meñ khil ga.e maut kā raaz le ke ham
rū-e-suḳhan badal gayā baḌhne lage haiñ fāsle
āh-e-sukūt munjamid baiThe haiñ saaz le ke ham
laghzish pa-e-hosh ka harf-e-jawaz le ke hum
KHud ko samajhne aae hain ruh-e-majaz le ke hum
karb ke ek lamhe mein lakh baras guzar gae
malik-e-hashr kya karen umr-e-daraaz le ke hum
sham ki dhundli chhanw mein phaile hain sae dar ke
sajda karen ki aae hain zauq-e-namaz le ke hum
dur ufuq pe ja kahin donon lakiren mil gain
aae to the huzur-e-dil naz-o-niyaz le ke hum
raat Dhali hai chand gum dur jale hain do diye
raaz to hai pa kis ke pas jaen ye raaz le ke hum
raqs-e-sharar mein kho gae barq ke dil se mil gae
lala-o-gul mein khil gae maut ka raaz le ke hum
ru-e-suKHan badal gaya baDhne lage hain fasle
aah-e-sukut munjamid baiThe hain saz le ke hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.