laghzish se rahnumaon ki jab hum sanbhal gae
laġhzish se rahnumāoñ kī jab ham sañbhal ga.e
manzil qarīb aa.ī to raste badal ga.e
har rāh-rau se terā pata pūchhte hue
ham rāh-e-dair-o-ka.aba se aage nikal ga.e
phūTī hai jab bhī tere tabassum kī ik kiran
ghabrā ke ḳhud-baḳhud hī añdhere pighal ga.e
rindān-e-tishna-kām ko ab mai se kyā ġharaz
saaqī kī chashm-e-mast se jab daur chal ga.e
ab bhī jabīn-e-zīst pe fāqoñ kī hai shikan
maanā ki zindagī ke taqāze badal ga.e
un ke nuqūsh-e-pā kā ye e.ajāz dekhiye
zarre mah-o-nujūm ke sāñche meñ Dhal ga.e
jab bhī nikhar gayā mire sheroñ kā bāñkpan
ai dost fikr-o-fan ke ka.ī diip jal ga.e
aisī chalīñ havā.eñ havādis kī ai 'nishāt'
afsāna-e-hayāt ke unvāñ badal ga.e
laghzish se rahnumaon ki jab hum sanbhal gae
manzil qarib aai to raste badal gae
har rah-rau se tera pata puchhte hue
hum rah-e-dair-o-kaba se aage nikal gae
phuTi hai jab bhi tere tabassum ki ek kiran
ghabra ke KHud-baKHud hi andhere pighal gae
rindan-e-tishna-kaam ko ab mai se kya gharaz
saqi ki chashm-e-mast se jab daur chal gae
ab bhi jabin-e-zist pe faqon ki hai shikan
mana ki zindagi ke taqaze badal gae
un ke nuqush-e-pa ka ye eajaz dekhiye
zarre mah-o-nujum ke sanche mein Dhal gae
jab bhi nikhar gaya mere sheron ka bankpan
ai dost fikr-o-fan ke kai dip jal gae
aisi chalin hawaen hawadis ki ai 'nishat'
afsana-e-hayat ke unwan badal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.