lahar ne jab bikharte waqt muD ke pul ko dekha tha
lahar ne jab bikharte vaqt muḌ ke pul ko dekhā thā
nadī ke bahte paanī par kisī kā naam likkhā thā
usī sūkhe shajar ke nīche terī raah taktā huuñ
bichhaḌte vaqt tū jis se lipaT ke ḳhuub royā thā
anokhā shaḳhs thā us se milāyā haath jab maiñ ne
lagā jaise ki us kī uñgliyoñ meñ dil dhaḌaktā thā
galī ke ek ghar meñ kāñch kī aisī bhī khiḌkī thī
sub.h hotī thī jis ke khulne pe sūraj nikaltā thā
kisī kī badduā kā hai asar ab uḌ nahīñ saktā
nahīñ to ye parinda āsmāñ se baat kartā thā
sajā.e apne pairoñ par mahāvar shaam baiThī thī
tasavvur meñ kisī kī yaad kā din Dhalne vaalā thā
purānī mez kī kholī darāzeñ to hañsī aa.ī
kisī ke pyaar meñ ham ne chhupā ke kyā kyā rakkhā thā
use is baat kā ehsās ab bhī sāltā hogā
agar maiñ chāhtā us ko harā kar jiit saktā thā
lahar ne jab bikharte waqt muD ke pul ko dekha tha
nadi ke bahte pani par kisi ka nam likkha tha
usi sukhe shajar ke niche teri rah takta hun
bichhaDte waqt tu jis se lipaT ke KHub roya tha
anokha shaKHs tha us se milaya hath jab main ne
laga jaise ki us ki ungliyon mein dil dhaDakta tha
gali ke ek ghar mein kanch ki aisi bhi khiDki thi
subh hoti thi jis ke khulne pe suraj nikalta tha
kisi ki baddua ka hai asar ab uD nahin sakta
nahin to ye parinda aasman se baat karta tha
sajae apne pairon par mahawar sham baiThi thi
tasawwur mein kisi ki yaad ka din Dhalne wala tha
purani mez ki kholi daraazen to hansi aai
kisi ke pyar mein hum ne chhupa ke kya kya rakkha tha
use is baat ka ehsas ab bhi salta hoga
agar main chahta us ko hara kar jit sakta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.