lahja aisa ki jaise dhun hai miyan
lahja aisā ki jaise dhun hai miyāñ
baat karne kā us ko gun hai miyāñ
ek hī lafz kaafī hotā hai
aur dalīl us kī lafz-e-kun hai miyāñ
maiñ ba-zāhir dikhūñgā achchhā bhalā
magar andar se jism sunn hai miyāñ
kuchh bhī achchhā nahīñ huā mire saath
zindagī saarī bad-shagun hai miyāñ
lahja aisa ki jaise dhun hai miyan
baat karne ka us ko gun hai miyan
ek hi lafz kafi hota hai
aur dalil us ki lafz-e-kun hai miyan
main ba-zahir dikhunga achchha bhala
magar andar se jism sunn hai miyan
kuchh bhi achchha nahin hua mere sath
zindagi sari bad-shagun hai miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.