lahja badal ke tujhse na ki guftugu kabhi
lahja badal ke tujh se na kī guftugū kabhī
lekin ye kyā ki khul na sakā mujh pe tū kabhī
baḌhte haiñ tajrabāt bhī umr-e-ravāñ ke saath
ghaTtā nahīñ hai dā.era-e-justujū kabhī
ab be-niyāz-e-rasm-e-jahāñ ho gayā huuñ maiñ
thā āshnā-e-lazzat-e-jām-o-subū kabhī
ahd-e-bahār ho ki ḳhizāñ kā hisār ho
hotā nahīñ hai band dar-e-ārzū kabhī
jis ne mujhe shu.ūr-e-ġham-e-mo'atabar diyā
'aḳhtar' vo shaḳhs aa na sakā rū-ba-rū kabhī
lahja badal ke tujh se na ki guftugu kabhi
lekin ye kya ki khul na saka mujh pe tu kabhi
baDhte hain tajrabaat bhi umr-e-rawan ke sath
ghaTta nahin hai daera-e-justuju kabhi
ab be-niyaz-e-rasm-e-jahan ho gaya hun main
tha aashna-e-lazzat-e-jam-o-subu kabhi
ahd-e-bahaar ho ki KHizan ka hisar ho
hota nahin hai band dar-e-arzu kabhi
jis ne mujhe shuur-e-gham-e-mo'atabar diya
'aKHtar' wo shaKHs aa na saka ru-ba-ru kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.