lahje ko phul lafz ko jugnu agar karen
lahje ko phuul lafz ko jugnū agar kareñ
vaqt-e-ravāñ ke saath ma.ānī safar kareñ
andar kī bārishoñ ne jo manzar dikhā.e haiñ
bāhar kī dhūp-chhāñv ko is kī ḳhabar kareñ
mausam parinde dhuup kī dīvār shab charāġh
qissa tavīl hone lagā muḳhtasar kareñ
ab niiñd sī hai niiñd na ab ḳhvāb sā hai ḳhvāb
saḌkoñ pe jaag jaag ke umreñ basar kareñ
manzar ko darmiyān se apne haTā ke dekh
mumkin hai phir 'matīn' kī bāteñ asar kareñ
lahje ko phul lafz ko jugnu agar karen
waqt-e-rawan ke sath maani safar karen
andar ki barishon ne jo manzar dikhae hain
bahar ki dhup-chhanw ko is ki KHabar karen
mausam parinde dhup ki diwar shab charagh
qissa tawil hone laga muKHtasar karen
ab nind si hai nind na ab KHwab sa hai KHwab
saDkon pe jag jag ke umren basar karen
manzar ko darmiyan se apne haTa ke dekh
mumkin hai phir 'matin' ki baaten asar karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.