lahr-lahr aawargiyon ke sath raha
lahr-lahr āvārgiyoñ ke saath rahā
bādal thā aur jal-pariyoñ ke saath rahā
kaun thā maiñ ye to mujh ko ma.alūm nahīñ
phūloñ pattoñ aur diyoñ ke saath rahā
milnā aur bichhaḌ jaanā kisī raste par
ik yahī qissa ādamiyoñ ke saath rahā
vo ik sūraj sub.h talak mire pahlū meñ
apnī sab nārāzgiyoñ ke saath rahā
sab ne jaanā bahut subuk behad shaffāf
dariyā to ālūdgiyoñ ke saath rahā
lahr-lahr aawargiyon ke sath raha
baadal tha aur jal-pariyon ke sath raha
kaun tha main ye to mujh ko malum nahin
phulon patton aur diyon ke sath raha
milna aur bichhaD jaana kisi raste par
ek yahi qissa aadamiyon ke sath raha
wo ek suraj subh talak mere pahlu mein
apni sab naraazgiyon ke sath raha
sab ne jaana bahut subuk behad shaffaf
dariya to aaludgiyon ke sath raha
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 20)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.