lahr TuTi hai ki aaina-e-mahtab mein hum
lahr TuuTī hai ki ā.ina-e-mahtāb meñ ham
chāñd chamkā to paḌe rah ga.e tālāb meñ ham
qaus ke rang churā lā.eñge aur ā.eñge
pairahan bunñe ko fursat se tire ḳhvāb meñ ham
koī be-nām havā fasl-e-badan kyuuñ kaaTe
lahlahāte nahīñ har ḳhitta-e-shādāb meñ ham
sāhiloñ par khaḌe logoñ kī nazar se dekho
ek kashtī meñ haiñ aur ek hī girdāb meñ ham
gaañv ke ūñche daraḳhtoñ ko bhalā kyā mālūm
shahr aa.e haiñ jaḌeñ kaaT ke sailāb meñ ham
ghar se ḳhushbū ke ta.āqub meñ nikal kar 'tālib'
roz aa jaate haiñ ik halqa-e-ahbāb meñ ham
lahr TuTi hai ki aaina-e-mahtab mein hum
chand chamka to paDe rah gae talab mein hum
qaus ke rang chura laenge aur aaenge
pairahan bunne ko fursat se tere KHwab mein hum
koi be-nam hawa fasl-e-badan kyun kaTe
lahlahate nahin har KHitta-e-shadab mein hum
sahilon par khaDe logon ki nazar se dekho
ek kashti mein hain aur ek hi girdab mein hum
ganw ke unche daraKHton ko bhala kya malum
shahr aae hain jaDen kaT ke sailab mein hum
ghar se KHushbu ke taaqub mein nikal kar 'talib'
roz aa jate hain ek halqa-e-ahbab mein hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.