lahra rahe hain shaKHon pe parcham bahaar ke
lahrā rahe haiñ shāḳhoñ pe parcham bahār ke
rakkhe haiñ titliyoñ ne abhī ġham utaar ke
ḳhvāboñ ke phuul palkoñ kī dahlīz par na rakh
murjhā na jaa.eñ dhuup meñ mausam vaqār ke
har pal haiñ zindagī ke taqāze na.e na.e
lagne lage haiñ ḳhud ko bhī ab ham udhār ke
bastī meñ aaj bhī mirī chūlhe nahīñ jale
zinda hai phir bhī sub.h shab-e-ġham guzār ke
gum ho gayā hai ajnabī chehroñ meñ apnā-pan
ḳhāmosh ho ga.e mujhe mahram pukār ke
zaḳhmoñ kī ḳhushk kyāriyāñ shādāb ho ga.iiñ
kitne karam haiñ mujh pe mire ġham-gusār ke
bechainī be-qarārī hameñ raas aa ga.ī
lamhe the zindagī meñ bahut kam qarār ke
lahra rahe hain shaKHon pe parcham bahaar ke
rakkhe hain titliyon ne abhi gham utar ke
KHwabon ke phul palkon ki dahliz par na rakh
murjha na jaen dhup mein mausam waqar ke
har pal hain zindagi ke taqaze nae nae
lagne lage hain KHud ko bhi ab hum udhaar ke
basti mein aaj bhi meri chulhe nahin jale
zinda hai phir bhi subh shab-e-gham guzar ke
gum ho gaya hai ajnabi chehron mein apna-pan
KHamosh ho gae mujhe mahram pukar ke
zaKHmon ki KHushk kyariyan shadab ho gain
kitne karam hain mujh pe mere gham-gusar ke
bechaini be-qarari hamein ras aa gai
lamhe the zindagi mein bahut kam qarar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.