lahu aankhon mein jamta ja raha hai
lahū āñkhoñ meñ jamtā jā rahā hai
ye dariyā ḳhushk paḌtā jā rahā hai
jise sadiyoñ kī vus.at hai mayassar
vo lamhoñ meñ simaTtā jā rahā hai
jise dil meñ utarnā chāhiye thā
vahī dil se utartā jā rahā hai
safīna phir se koī zid ke chalte
havāoñ se ulajhtā jā rahā hai
tamāshā-gar to haiñ maujūd lekin
ye majma.a kyuuñ ukhaḌtā jā rahā hai
tumhārā aks hai yā koī jaadū
har ā.īna sañvartā jā rahā hai
lahu aankhon mein jamta ja raha hai
ye dariya KHushk paDta ja raha hai
jise sadiyon ki wusat hai mayassar
wo lamhon mein simaTta ja raha hai
jise dil mein utarna chahiye tha
wahi dil se utarta ja raha hai
safina phir se koi zid ke chalte
hawaon se ulajhta ja raha hai
tamasha-gar to hain maujud lekin
ye majma kyun ukhaDta ja raha hai
tumhaara aks hai ya koi jadu
har aaina sanwarta ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.