lahu aankhon mein raushan hai ye manzar dekhna ab ke
lahū āñkhoñ meñ raushan hai ye manzar dekhnā ab ke
dayār-e-ġham meñ kyā guzrī hai ham par dekhnā ab ke
añdherā hai vahī lekin rivāyat vo nahīñ baaqī
charāġhoñ kī jagah hāthoñ meñ ḳhanjar dekhnā ab ke
sulagte ghar kī chingārī bhī badla lene vaalī hai
ye manzar dekhnā lekin sambhal kar dekhnā ab ke
shikast-o-fat.h kī tārīḳh likkhī jā.egī yuuñ bhī
tahī-dastī se hogā mā'rka sar dekhnā ab ke
shanāsā.ī ke saa.e baḌh ga.e sahn-e-rifāqat meñ
hamārī pusht meñ paivast ḳhanjar dekhnā ab ke
zamīñ ko phir lahū baḳhshā gayā hai be-gunāhoñ kā
sitam ke har shajar ko phir samar-var dekhnā ab ke
sukūt-e-shab meñ āñkheñ band hoñgī jab darīchoñ kī
koī saaya nazar aa.egā dar dar dekhnā ab ke
chhalakne vaalī hai ye chashm-e-vīrāñ ek din 'rāhī'
sulagte dasht meñ koī samundar dekhnā ab ke
lahu aankhon mein raushan hai ye manzar dekhna ab ke
dayar-e-gham mein kya guzri hai hum par dekhna ab ke
andhera hai wahi lekin riwayat wo nahin baqi
charaghon ki jagah hathon mein KHanjar dekhna ab ke
sulagte ghar ki chingari bhi badla lene wali hai
ye manzar dekhna lekin sambhal kar dekhna ab ke
shikast-o-fath ki tariKH likkhi jaegi yun bhi
tahi-dasti se hoga ma'rka sar dekhna ab ke
shanasai ke sae baDh gae sahn-e-rifaqat mein
hamari pusht mein paiwast KHanjar dekhna ab ke
zamin ko phir lahu baKHsha gaya hai be-gunahon ka
sitam ke har shajar ko phir samar-war dekhna ab ke
sukut-e-shab mein aankhen band hongi jab darichon ki
koi saya nazar aaega dar dar dekhna ab ke
chhalakne wali hai ye chashm-e-viran ek din 'rahi'
sulagte dasht mein koi samundar dekhna ab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.