lahu ba-rang-e-digar husn-e-lala-zar mein hai
lahu ba-rang-e-digar husn-e-lala-zar mein hai
Zafar Mahmood zafar
MORE BYZafar Mahmood zafar
lahū ba-rang-e-digar husn-e-lāla-zār meñ hai
ye dukh ḳhizāñ meñ kahāñ thā jo ab bahār meñ hai
jo ḳhushk hone lagā hai to taaza kar degā
ki zaḳhm zaḳhm mirā sab nigāh-e-yār meñ hai
maiñ bhuul kar bhī nahīñ bhuul pā rahā huuñ jise
vo ek naam jo ab bhī dil-e-figār meñ hai
Dhalegā shaam ko sūraj to haal pūchhūñgā
abhī zamāna hai us kā vo eqtidār meñ hai
diloñ meñ zinda hai gar jazba-e-barāhīmī
na ḳhauf kar ki tū namrūd jaisī naar meñ hai
zamīn khod ke katba vo likh rahā hai ki ab
nayā sā koī safar aur intizār meñ hai
muqaddaroñ ko sitāroñ meñ qaid kar ke na rakh
bhalā burā to tire dast-e-iḳhtiyār meñ hai
ab āsmāñ kī bulandī ko uñgliyāñ na dikhā
tujhe ḳhabar hai zamīñ is ke hī hisār meñ hai
ḳhulūs-e-dil se pukāro to vo sunegā zarūr
ġhurūr meñ kahāñ baḳhshish jo inkisār meñ hai
ye shā.irī kā hunar tū ne hī to baḳhshā hai
suḳhanvarī ye kahāñ mere iḳhtiyār meñ hai
vo dil hī kyā ki 'zafar' jo ġhamoñ se aarī ho
kahāñ vo lutf jo soz-e-dil-e-figār meñ hai
lahu ba-rang-e-digar husn-e-lala-zar mein hai
ye dukh KHizan mein kahan tha jo ab bahaar mein hai
jo KHushk hone laga hai to taza kar dega
ki zaKHm zaKHm mera sab nigah-e-yar mein hai
main bhul kar bhi nahin bhul pa raha hun jise
wo ek nam jo ab bhi dil-e-figar mein hai
Dhalega sham ko suraj to haal puchhunga
abhi zamana hai us ka wo eqtidar mein hai
dilon mein zinda hai gar jazba-e-barahimi
na KHauf kar ki tu namrud jaisi nar mein hai
zamin khod ke katba wo likh raha hai ki ab
naya sa koi safar aur intizar mein hai
muqaddaron ko sitaron mein qaid kar ke na rakh
bhala bura to tere dast-e-iKHtiyar mein hai
ab aasman ki bulandi ko ungliyan na dikha
tujhe KHabar hai zamin is ke hi hisar mein hai
KHulus-e-dil se pukaro to wo sunega zarur
ghurur mein kahan baKHshish jo inkisar mein hai
ye shairi ka hunar tu ne hi to baKHsha hai
suKHanwari ye kahan mere iKHtiyar mein hai
wo dil hi kya ki 'zafar' jo ghamon se aari ho
kahan wo lutf jo soz-e-dil-e-figar mein hai
- Book : خموش لب (Pg. 67)
- Author : ظفر محمود
- Publication : عرشیہ پبلی کیشنز دہلی۔95 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.