lahu de kar jila baKHshenge ai urdu zaban tujhko
lahū de kar jilā baḳhsheñge ai urdu zabāñ tujh ko
kabhī miTne nahīñ deñge ye tere pāsbāñ tujh ko
jahāñ ke goshe goshe meñ ye tere chāhne vaale
sadā mahfūz rakheñge samajh kar jism-o-jāñ tujh ko
adab ke dā.ere meñ rah ke aksar pesh karte haiñ
kahīñ shīrīñ-zabāñ tujh ko kahīñ sho.ala-bayāñ tujh ko
tirī vus.at kā andāza lagā saktā nahīñ koī
bajā kahte haiñ jo kahte haiñ bahr-e-be-karāñ tujh ko
tire ash.ār sun kar mahv-e-hairat haiñ jahāñ vaale
ai 'saifī' raas jab se aa ga.ī urdu zabāñ tujh ko
lahu de kar jila baKHshenge ai urdu zaban tujh ko
kabhi miTne nahin denge ye tere pasban tujh ko
jahan ke goshe goshe mein ye tere chahne wale
sada mahfuz rakhenge samajh kar jism-o-jaan tujh ko
adab ke daere mein rah ke aksar pesh karte hain
kahin shirin-zaban tujh ko kahin shoala-bayan tujh ko
teri wusat ka andaza laga sakta nahin koi
baja kahte hain jo kahte hain bahr-e-be-karan tujh ko
tere ashaar sun kar mahw-e-hairat hain jahan wale
ai 'saifi' ras jab se aa gai urdu zaban tujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.