lahu fashan hain waraq aur dil tapida hain
lahū fashāñ haiñ varaq aur dil tapīda haiñ
adīb-e-shahr ke ab bhī qalam burīda haiñ
na izn-e-āh-o-fuġhāñ hai ki nauha-e-hastī
kise sunā.eñ jo alfāz ḳhūñ-chakīdā haiñ
kabhī zabāneñ nikal aa.iiñ ḳhārzāroñ kī
shajar chaman ke ḳhamoshī se sar-ḳhamīda haiñ
nahīñ muaaf mere ghar meñ jurm-e-haq-goī
sañbhal ke dekh shahar meñ jo sar-kashīda haiñ
bas itnā soch ke ḳhud ko sambhāl lete haiñ
jahāñ meñ ham se bhī baḌh kar sitam-rasīda haiñ
tumhāre milne se pahle na thā koī maz.hab
bichhaḌ ke tum se magar aaj bā-aqīda haiñ
hamāre vāste dāmān-e-dostāñ tañg hai
hameñ salām karo ham vafā-gazīda haiñ
abhī to ġham ke shajar pe khilī haiñ kuchh kaliyāñ
abhī to palkoñ pe kuchh taare nau-damīda haiñ
ye kaisā daur hai 'zebā' ki ashk tak chup haiñ
sajā laboñ pe tabassum hai dil kabīda haiñ
lahu fashan hain waraq aur dil tapida hain
adib-e-shahr ke ab bhi qalam burida hain
na izn-e-ah-o-fughan hai ki nauha-e-hasti
kise sunaen jo alfaz KHun-chakida hain
kabhi zabanen nikal aain KHarzaron ki
shajar chaman ke KHamoshi se sar-KHamida hain
nahin muaf mere ghar mein jurm-e-haq-goi
sanbhal ke dekh shahar mein jo sar-kashida hain
bas itna soch ke KHud ko sambhaal lete hain
jahan mein hum se bhi baDh kar sitam-rasida hain
tumhaare milne se pahle na tha koi mazhab
bichhaD ke tum se magar aaj ba-aqida hain
hamare waste daman-e-dostan tang hai
hamein salam karo hum wafa-gazida hain
abhi to gham ke shajar pe khili hain kuchh kaliyan
abhi to palkon pe kuchh tare nau-damida hain
ye kaisa daur hai 'zeba' ki ashk tak chup hain
saja labon pe tabassum hai dil kabida hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.