lahu hai aastin ka ya hina hai
lahū hai āstīñ kā yā hinā hai
hathelī par diyā sā jal rahā hai
vahī ik peḌ sab kā aasrā hai
jo jaltī dhuup meñ tanhā khaḌā hai
chalo tum bhī koī patthar uThā lo
mire hāthoñ meñ bhī ik aa.ina hai
tanī hai chāñdnī sūraj ke rath par
magar ye ḳhvāb hai yā vāqi.a hai
'ziyā' parchhā.iyoñ kā shahr hai ye
yahāñ kis ko koī pahchāntā hai
lahu hai aastin ka ya hina hai
hatheli par diya sa jal raha hai
wahi ek peD sab ka aasra hai
jo jalti dhup mein tanha khaDa hai
chalo tum bhi koi patthar uTha lo
mere hathon mein bhi ek aaina hai
tani hai chandni suraj ke rath par
magar ye KHwab hai ya waqia hai
'ziya' parchhaiyon ka shahr hai ye
yahan kis ko koi pahchanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.