lahu ka ek chhalakta hua ayagh liye
lahū kā ek chhalaktā huā ayāġh liye
hayāt aa.ī hai mahrūmiyoñ kā daaġh liye
guzar ga.e haiñ yūñhī jāda-e-shabāb se ham
fasurda zehn liye ġham-zada dimāġh liye
har ik jabīñ pe tamavvuj hai sozish-e-dil kā
har ik nigāh hai yak hasrat-e-farāġh liye
chale haiñ zulmat-o-har-sail-e-bād kī zad par
junūñ-sifāt bhaḌakte hue charāġh liye
lahu ka ek chhalakta hua ayagh liye
hayat aai hai mahrumiyon ka dagh liye
guzar gae hain yunhi jada-e-shabab se hum
fasurda zehn liye gham-zada dimagh liye
har ek jabin pe tamawwuj hai sozish-e-dil ka
har ek nigah hai yak hasrat-e-faragh liye
chale hain zulmat-o-har-sail-e-baad ki zad par
junun-sifat bhaDakte hue charagh liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.